Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil un ka hai kuchh aur to hai unki zaban aur

Arsh Malsiyani

dil un ka hai kuchh aur to hai unki zaban aur

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    dil un hai kuchh aur to hai un zabāñ aur

    kartā huuñ yaqīñ jitnā maiñ baḌhtā hai gumāñ aur

    manzil junūñ hai to har ik gaam hai manzil

    miTtā hai nishāñ aur to miltā hai nishāñ aur

    parvāne ke mātam meñ bujhī sham.a ye kah kar

    tere liye hāzir hai ye thoḌā dhuāñ aur

    pur-dard jo dil meñ unheñ roko na fuġhāñ se

    hote haiñ ye ḳhāmosh to karte haiñ fuġhāñ aur

    yārab ye sunā hai vo samajhte nahīñ urdu

    de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur

    hotā hai fuzūñ yaas meñ soz-e-ġham-e-ulfat

    bujhtā hai to hotā hai ye dil shoa.la-fishāñ aur

    apnoñ se tum ishq meñ ghabrā ga.e sāhab

    is raah meñ haa.il haiñ abhī sañg-e-garāñ aur

    duniyā meñ to mamnūa hai jannat meñ hai jaa.ez

    kyā baat hai vaa.iz yahāñ aur vahāñ aur

    hotī hai zabāñ band to kyā kuchh nahīñ kahtī

    ruktī hai ye talvār to hotī hai ravāñ aur

    asnām-tarāshī bhī baḌī chiiz hai lekin

    hai nāzukī-e-kārgah-e-shīsha-garāñ aur

    kahne ko to ai 'arsh' suḳhan-sanj haiñ ham bhī

    haq ye hai ki 'ġhālib' hai andāz-e-bayāñ aur

    dil un ka hai kuchh aur to hai un ki zaban aur

    karta hun yaqin jitna main baDhta hai guman aur

    manzil ka junun hai to har ek gam hai manzil

    miTta hai nishan aur ka to milta hai nishan aur

    parwane ke matam mein bujhi shama ye kah kar

    tere liye hazir hai ye thoDa sa dhuan aur

    pur-dard jo dil mein unhen roko na fughan se

    hote hain ye KHamosh to karte hain fughan aur

    yarab ye suna hai wo samajhte nahin urdu

    de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur

    hota hai fuzun yas mein soz-e-gham-e-ulfat

    bujhta hai to hota hai ye dil shoala-fishan aur

    apnon hi se tum ishq mein ghabra gae sahab

    is rah mein hail hain abhi sang-e-garan aur

    duniya mein to mamnua hai jannat mein hai jaez

    kya baat hai waiz ki yahan aur wahan aur

    hoti hai zaban band to kya kuchh nahin kahti

    rukti hai ye talwar to hoti hai rawan aur

    asnam-tarashi bhi baDi chiz hai lekin

    hai nazuki-e-kargah-e-shisha-garan aur

    kahne ko to ai 'arsh' suKHan-sanj hain hum bhi

    haq ye hai ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur

    Source:

    Kulliyat-e-Arsh (Pg. 96)

    • Author: Arsh Malsiyani
      • Publisher: Ali Imran Chaudhary
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now