Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

Alimullah

dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

Alimullah

MORE BYAlimullah

    dilbar ko dilbarī suuñ manā yaar kar rakhūñ

    pītam ko apne piit suuñ gulhār kar rakhūñ

    ek naum suuñ jagā.ūñ agar murda dil ke ta.iiñ

    tā-hashr yād-e-haq mane bedār kar rakhūñ

    rahtā hai dil har ek har ek kaam meñ

    apnā ḳhayāl sūrat-e-parkār kar rakhūñ

    distā hai mujh ko yaar ruḳhsār-e-gul-izār

    tis ḳhushī suuñ tab' ko gulzār kar rakhūñ

    manke ko man ke lā.ūñ phirāne jab ḳhayāl

    tasbīh badan toḌ ke ek taar kar rakhūñ

    pītam ke baaj nahīñ hai mirā iḳhtiyār kuchh

    mujh dil ko tis ke amr meñ muḳhtār kar rakhūñ

    be-sar agar achhe to use sar karūñ 'atā

    donoñ jahāñ meñ sāhab-e-asrār kar rakhūñ

    andhe ke ta.iiñ 'alīm' lagā ishq añjan

    sab vāsilāñ meñ vāsil-e-dīdār kar rakhūñ

    dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

    pitam ko apne pit sun gulhaar kar rakhun

    ek naum sun jagaun agar murda dil ke tain

    ta-hashr yaad-e-haq mane bedar kar rakhun

    rahta hai dil har ek ka har ek kaam mein

    apna KHayal surat-e-parkar kar rakhun

    dista hai mujh ko yar ka ruKHsar-e-gul-izar

    tis ki KHushi sun tab' ko gulzar kar rakhun

    manke ko man ke laun phirane ka jab KHayal

    tasbih badan ki toD ke ek tar kar rakhun

    pitam ke baj nahin hai mera iKHtiyar kuchh

    mujh dil ko tis ke amr mein muKHtar kar rakhun

    be-sar agar achhe to use sar karun 'ata

    donon jahan mein sahab-e-asrar kar rakhun

    andhe ke tain 'alim' laga ishq ka anjan

    sab wasilan mein wasil-e-didar kar rakhun

    Source:

    Deewan-e-Alimullah(Gazaliyat-e-Miskeen Shah) (Pg. 38)

    • Author: Alimullah, Miskeen Shah
      • Publisher: Matba Kareemi Press, Mumbai
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now