Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki Khaal-o-KHad se ibarat nahin hai

Muhib Aarfi

dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki Khaal-o-KHad se ibarat nahin hai

Muhib Aarfi

MORE BYMuhib Aarfi

    dilbarī us ruḳh-e-dil-rubā ḳhāl-o-ḳhad se ibārat nahīñ hai

    mahv-e-nazzāra-e-ḳhāl-o-ḳhad ko ye samajhne mohlat nahīñ hai

    dil se hotī to hai raah dil ko fāsla hai magar raah ḳhud bhī

    ek ho jaa.eñ ham aap mil kar ishq aisī qismat nahīñ hai

    jis ko apnī nazar jāntā huuñ us ke jalvoñ hai ik karishma

    vo nazar nahīñ jis hastī us marhūn-e-minnat nahīñ hai

    ye balā.eñ jo pesh-e-nazar haiñ ye to be-shak fareb-e-nazar haiñ

    lekin un se jo taarī hai dil par kyā ye Dar bhī haqīqat nahīñ hai

    ġham hai jis ahd-e-māzī sab ko uTh ke aa jaa.eñ Dhāñche jo us ke

    baḌh ke un ko gale se lagā le ye kisī meñ bhī himmat nahīñ hai

    sham.a par jaan denā patango tum ne sīkhā hai kis madrase meñ

    sham.a par jaan denā patango zindagī zarūrat nahīñ hai

    maiñ 'muhib' ek sho.ala thā ya.anī hote rahne ik mashġhala thā

    hote hote vo shai ho gayā huuñ jis meñ hone tāqat nahīñ hai

    dilbari us ruKH-e-dil-ruba ki KHal-o-KHad se ibarat nahin hai

    mahw-e-nazzara-e-KHal-o-KHad ko ye samajhne ki mohlat nahin hai

    dil se hoti to hai rah dil ko fasla hai magar rah KHud bhi

    ek ho jaen hum aap mil kar ishq ki aisi qismat nahin hai

    jis ko apni nazar jaanta hun us ke jalwon ka hai ek karishma

    wo nazar hi nahin jis ki hasti us ki marhun-e-minnat nahin hai

    ye balaen jo pesh-e-nazar hain ye to be-shak fareb-e-nazar hain

    lekin un se jo tari hai dil par kya ye Dar bhi haqiqat nahin hai

    gham hai jis ahd-e-mazi ka sab ko uTh ke aa jaen Dhanche jo us ke

    baDh ke un ko gale se laga le ye kisi mein bhi himmat nahin hai

    shama par jaan dena patango tum ne sikha hai kis madrase mein

    shama par jaan dena patango zindagi ki zarurat nahin hai

    main 'muhib' ek shoala tha yani hote rahne ka ek mashghala tha

    hote hote wo shai ho gaya hun jis mein hone ki taqat nahin hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 290)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now