Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dildar ki kashish ne aincha hai man hamara

Siraj Aurangabadi

dildar ki kashish ne aincha hai man hamara

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    dildār kashish ne aiñchā hai man hamārā

    hai ḳhaak is qadam shāyad vatan hamārā

    ai dostān-e-jānī dil siiñ karo tavajjoh

    tā-jān paas apne pahuñche badan hamārā

    gar zindagī hai baaqī phir tum siiñ aa mileñge

    dīdār āḳhirī hai jo hai maran hamārā

    daryā-e-mudda.ā laa.e haiñ thaah jab siiñ

    har buuñd ashk hai durr-e-adan hamārā

    darkār nahīñ hai pahreñ bar meñ qabā-e-zīnat

    ye bas hai ḳhāksārī ḳhākī baran hamārā

    sab chhoḌ ḳhānumā kuuñ haiñ us justujū meñ

    hai dasht aur bayābāñ bāġh-o-chaman hamārā

    mānind-e-kohkan hai be-kal 'sirāj' dil

    shāyad ki maan leve shīrīñ-suḳhan hamārā

    dildar ki kashish ne aincha hai man hamara

    hai KHak is qadam ki shayad watan hamara

    ai dostan-e-jaani dil sin karo tawajjoh

    ta-jaan pas apne pahunche badan hamara

    gar zindagi hai baqi phir tum sin aa milenge

    didar aaKHiri hai jo hai maran hamara

    darya-e-muddaa ka lae hain thah jab sin

    har bund ashk ka hai durr-e-adan hamara

    darkar nahin hai pahren bar mein qaba-e-zinat

    ye bas hai KHaksari KHaki baran hamara

    sab chhoD KHanuma kun hain us ki justuju mein

    hai dasht aur bayaban bagh-o-chaman hamara

    manind-e-kohkan hai be-kal 'siraj' ka dil

    shayad ki man lewe shirin-suKHan hamara

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 312)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now