aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja

Atta Shad

dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja

Atta Shad

MORE BYAtta Shad

    diloñ ke dard jagā ḳhvāhishoñ ke ḳhvāb sajā

    balā-kashān-e-nazar ke liye sarāb sajā

    mahak rahā hai kisī badan sar-e-mahtāb

    mire ḳhayāl Tahnī pe kyā gulāb sajā

    koī kahīñ to sune tere arz-e-hāl habs

    havā rehl pe āvāz kitāb sajā

    vo kyā talab thī tire jism ke ujāle

    maiñ bujh gayā to mirā ḳhāna-e-ḳharāb sajā

    tamām shab thā tirā hijr terā ā.īna-gar

    tamām shab mire pahlū meñ āftāb sajā

    na hai aur na maiñ huuñ na vasl hai na firāq

    sajā sharāb sajā jā-ba-jā sharāb sajā

    'atā' ye aañkh dhanak manziloñ chaah meñ thī

    chhaTā jo abr ghanī tīrgī baab sajā

    dilon ke dard jaga KHwahishon ke KHwab saja

    bala-kashan-e-nazar ke liye sarab saja

    mahak raha hai kisi ka badan sar-e-mahtab

    mere KHayal ki Tahni pe kya gulab saja

    koi kahin to sune tere arz-e-haal ka habs

    hawa ki rehl pe aawaz ki kitab saja

    wo kya talab thi tere jism ke ujale ki

    main bujh gaya to mera KHana-e-KHarab saja

    tamam shab tha tera hijr tera aaina-gar

    tamam shab mere pahlu mein aaftab saja

    na tu hai aur na main hun na wasl hai na firaq

    saja sharab saja ja-ba-ja sharab saja

    'ata' ye aankh dhanak manzilon ki chah mein thi

    chhaTa jo abr ghani tirgi ka bab saja

    Source:

    naquush (Pg. 277)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now