Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon mein jab guman honge makin aahista aahista

Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani

dilon mein jab guman honge makin aahista aahista

Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani

MORE BYRukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani

    diloñ meñ jab gumāñ hoñge makīñ āhista āhista

    to dhuñdlā jā.egā nūr-e-yaqīñ āhista āhista

    dil-e-nādāñ abhī ḳhūgar nahīñ ye ġham uThāne

    uThegī tere dar se ye jabīñ āhista āhista

    nazar manzil pe ho to iḳhtilāf-e-rāh ġham kyā

    pahuñchtī haiñ sabhī rāheñ vahīñ āhista āhista

    kashish merī vafāoñ kahāñ tak rā.egāñ jaatī

    jhukī merī taraf lauh-e-jabīñ āhista āhista

    mire ahbāb ne us ko kiyā mujh se judā juuñ juuñ

    vo aatā gayā mere qarīñ āhista āhista

    lahū Tapkā hai rafta-rafta mizhgān-e-muġhannī se

    huā hai ḳhush dil-e-andoh-gīñ āhista āhista

    mire anfās har zarb thī kaarī se kārī-tar

    karam farmā huā arsh-e-barīñ āhista āhista

    huā taarī jumūd āfāq ke rangīñ ishāroñ par

    huī gardish se be-bahra zamīñ āhista āhista

    madad ai jazba-e-ashk-e-musalsal saañs lene de

    sukhā lene de bhīgī āstīñ āhista āhista

    ḳhudārā bas isī andāz se inkār kartā

    banī jaatī hai haañ terī nahīñ āhista āhista

    maiñ apne hoñT Dālūñgī lekin ye na dekhūñgī

    pashemāñ ho nigāh-e-sharmagīñ āhista āhista

    bahut āsāñ na samjho sang-dil dil mom ho jaanā

    utartī hai nigāh-e-avvalīñ āhista āhista

    koī jazba hai shāyad tujh meñ 'hānī' nā-tamām ab bhī

    sunī hai dil meñ aahaT kahīñ āhista āhista

    dilon mein jab guman honge makin aahista aahista

    to dhundla jaega nur-e-yaqin aahista aahista

    dil-e-nadan abhi KHugar nahin ye gham uThane ka

    uThegi tere dar se ye jabin aahista aahista

    nazar manzil pe ho to iKHtilaf-e-rah ka gham kya

    pahunchti hain sabhi rahen wahin aahista aahista

    kashish meri wafaon ki kahan tak raegan jati

    jhuki meri taraf lauh-e-jabin aahista aahista

    mere ahbab ne us ko kiya mujh se juda jun jun

    wo aata hi gaya mere qarin aahista aahista

    lahu Tapka hai rafta-rafta mizhgan-e-mughanni se

    hua hai KHush dil-e-andoh-gin aahista aahista

    mere anfas ki har zarb thi kari se kari-tar

    karam farma hua arsh-e-barin aahista aahista

    hua tari jumud aafaq ke rangin ishaaron par

    hui gardish se be-bahra zamin aahista aahista

    madad ai jazba-e-ashk-e-musalsal sans lene de

    sukha lene de bhigi aastin aahista aahista

    KHudara bas isi andaz se inkar karta ja

    bani jati hai han teri nahin aahista aahista

    main apne honT si Dalungi lekin ye na dekhungi

    pasheman ho nigah-e-sharmagin aahista aahista

    bahut aasan na samjho sang-dil dil mom ho jaana

    utarti hai nigah-e-awwalin aahista aahista

    koi jazba hai shayad tujh mein 'hani' na-tamam ab bhi

    suni hai dil mein aahaT si kahin aahista aahista

    Source:

    Sukoot-e-Sham (Pg. 134)

    • Author: Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
      • Publisher: All India Meer Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now