Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua

Nashir Naqvi

dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua

Nashir Naqvi

MORE BYNashir Naqvi

    diloñ pe chhāne lagā dhaḌkanoñ jaan huā

    jab ek umr guzārī to maiñ javān huā

    jo boltā thā to mujh se shikāyateñ thī bahut

    maiñ chup huā to use ḳhauf gumān huā

    safar hauslā rakhtā hai uḌ bhī saktā hai

    ye aur baat parinda lahūluhān huā

    yahī sabab hai ki har dil meñ ke bastā hai

    makān jis ne banā.e vo lā-makān huā

    koī to hai jo himāyat meñ haq niklā hai

    ḳhudā shukr ki koī to ham-zabān huā

    chalo ki pahre uThā deñ ham apne jiine se

    ye roz qistoñ meñ marnā azāb-e-jān huā

    falak ke chāñd-sitāroñ pe aa ga.ī raunaq

    zamīñ se kis safar rū-e-āsmān huā

    vo ek pyārā manzar hai merī āñkhoñ meñ

    laḌe khilaunoñ pe bachche maiñ darmiyān huā

    hilā na pā.eñgī mujh ko ab āñdhiyāñ 'nāshir'

    maiñ bojh sahte hue peḌ se chaTān huā

    dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua

    jab ek umr guzari to main jawan hua

    jo bolta tha to mujh se shikayaten thi bahut

    main chup hua to use KHauf ka guman hua

    safar ka hausla rakhta hai uD bhi sakta hai

    ye aur baat parinda lahuluhan hua

    yahi sabab hai ki har dil mein ja ke basta hai

    makan jis ne banae wo la-makan hua

    koi to hai jo himayat mein haq ki nikla hai

    KHuda ka shukr ki koi to ham-zaban hua

    chalo ki pahre uTha den hum apne jine se

    ye roz qiston mein marna azab-e-jaan hua

    falak ke chand-sitaron pe aa gai raunaq

    zamin se kis ka safar ru-e-asman hua

    wo ek pyara sa manzar hai meri aankhon mein

    laDe khilaunon pe bachche main darmiyan hua

    hila na paengi mujh ko ab aandhiyan 'nashir'

    main bojh sahte hue peD se chaTan hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now