Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka

Arman Najmi

dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    dimāġh-o-dil pe ho kyā asar añdhere

    ki dīda-var bhī hai ab ham-safar añdhere

    dayār-e-nūr meñ har samt ḳhaak uḌne lagī

    vajūd hone lagā mo'atabar añdhere

    ye rāsta to charāġhoñ se jagmagātā hai

    idhar se hone lagā kyuuñ guzar añdhere

    ab is ke phūlne-phalne meñ din kitne haiñ

    jaḌeñ jamā to chukā hai shajar añdhere

    yahāñ to raushniyoñ paḌāv hotā hai

    to kyā yahīñ pe basegā nagar añdhere

    sisaktī sham.oñ ye āḳhirī Thikānā hai

    shurūa hogā yahīñ se safar añdhere

    basīratoñ ke amiiñ haiñ hamīñ magar ham ne

    basā liyā hai rag-o-pai meñ Dar añdhere

    manāo ḳhair ujāloñ ke bām-o-dar vaalo

    fazā meñ raqs-kunāñ hai sharar añdhere

    vo apne saath to le kar charāġh chalte the

    shikār kyuuñ hue ahl-e-nazar añdhere

    dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka

    ki dida-war bhi hai ab ham-safar andhere ka

    dayar-e-nur mein har samt KHak uDne lagi

    wajud hone laga mo'atabar andhere ka

    ye rasta to charaghon se jagmagata hai

    idhar se hone laga kyun guzar andhere ka

    ab is ke phulne-phalne mein din hi kitne hain

    jaDen jama to chuka hai shajar andhere ka

    yahan to raushniyon ka paDaw hota hai

    to kya yahin pe basega nagar andhere ka

    sisakti shamon ka ye aaKHiri Thikana hai

    shurua hoga yahin se safar andhere ka

    basiraton ke amin hain hamin magar hum ne

    basa liya hai rag-o-pai mein Dar andhere ka

    manao KHair ujalon ke baam-o-dar walo

    faza mein raqs-kunan hai sharar andhere ka

    wo apne sath to le kar charagh chalte the

    shikar kyun hue ahl-e-nazar andhere ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now