Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din aish ke the zindagi mast-e-shabab thi

Amir Hamza Saqib

din aish ke the zindagi mast-e-shabab thi

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    din 'aish ke the zindagī mast-e-shabāb thī

    dil pyāla-e-tilā.ī mohabbat sharāb thī

    ik shaḳhs se harf-o-hikāyat meñ rang thā

    varna ye kā.enāt to bojhal kitāb thī

    imkān bhar to kuchh bhī na thā juz ġhubār-o-ḳhāk

    īmān bhar har ek du'ā mustajāb thī

    ik sāhib-e-nisāb ke sadqe pe thā guzar

    kyā daulat-e-ġhurūr hameñ dastyāb thī

    haijān raakh ho ke kahīñ muntashir huā

    aur tan-gazīda ruuh kahīñ zer-e-āb thī

    hāsil yahī hai ‘umr-e-guzishta ke baab

    the dil-fareb tum mirī duniyā ḳharāb thī

    din 'aish ke the zindagi mast-e-shabab thi

    dil pyala-e-tilai mohabbat sharab thi

    ek shaKHs hi se harf-o-hikayat mein rang tha

    warna ye kaenat to bojhal kitab thi

    imkan bhar to kuchh bhi na tha juz ghubar-o-KHak

    iman bhar har ek du'a mustajab thi

    ek sahib-e-nisab ke sadqe pe tha guzar

    kya daulat-e-ghurur hamein dastyab thi

    haijaan rakh ho ke kahin muntashir hua

    aur tan-gazida ruh kahin zer-e-ab thi

    hasil yahi hai ‘umr-e-guzishta ke bab ka

    the dil-fareb tum meri duniya KHarab thi

    Source:

    Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 100)

    • Author: Ameer Hamza Saqib
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now