Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae

Nomaan Shauque

din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    din-ba-din ghaTtī huī umr pe nāzil ho jaa.e

    ik badan aur mirī ruuh ko hāsil ho jaa.e

    morche kholtā rahtā huuñ samundar ke ḳhilāf

    jis ko miTnā hai vo aa.e mirā sāhil ho jaa.e

    khel khel meñ chhū luuñ maiñ kinārā apnā

    aise so.uuñ ki jagānā mujhe mushkil ho jaa.e

    lag ke bīmār ke siine se na ronā aise

    zindagānī tarah maut bhī mushkil ho jaa.e

    rakh rahe haiñ tire patthar mire zaḳhmoñ hisāb

    ab ye majma.a bhī mire kashf qaa.el ho jaa.e

    is qadar der na karnā ki ye āseb-nagar

    raat ruup le aur jism meñ dāḳhil ho jaa.e

    jañg apnoñ se hai to dil ko kināre kar luuñ

    rāste meñ yahī talvār na haa.el ho jaa.e

    din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae

    ek badan aur meri ruh ko hasil ho jae

    morche kholta rahta hun samundar ke KHilaf

    jis ko miTna hai wo aae mera sahil ho jae

    khel hi khel mein chhu lun main kinara apna

    aise soun ki jagana mujhe mushkil ho jae

    lag ke bimar ke sine se na rona aise

    zindagani ki tarah maut bhi mushkil ho jae

    rakh rahe hain tere patthar mere zaKHmon ka hisab

    ab ye majma bhi mere kashf ka qael ho jae

    is qadar der na karna ki ye aaseb-nagar

    raat ka rup le aur jism mein daKHil ho jae

    jang apnon se hai to dil ko kinare kar lun

    raste mein yahi talwar na hael ho jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    din-ba-din ghaTti hui umr pe nazil ho jae Nomaan Shauque

    Source:

    Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 44)

    • Author: Nomaan Shauq
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now