Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha

Wazir Agha

din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    din Dhal chukā thā aur parinda safar meñ thā

    saarā lahū badan ravāñ musht-e-par meñ thā

    jaate kahāñ ki raat bāñheñ thiiñ mushta.il

    chhupte kahāñ ki saarā jahāñ apne ghar meñ thā

    had-e-ufuq pe shaam thī ḳheme meñ muntazir

    aañsū ik pahāḌ haa.il nazar meñ thā

    lo vo bhī ḳhushk ret ke Tiile meñ Dhal gayā

    kal tak jo ek koh-e-girāñ rahguzar meñ thā

    utrā thā vahshī chiḌiyoñ lashkar zamīn par

    phir ik bhī sabz paat na saare nagar meñ thā

    pāgal ik sadā kisī ujḌe makāñ meñ thī

    khiḌkī meñ ik charāġh bharī-dopahar meñ thā

    us badan thā ḳhauf hiddat se sho.ala-vash

    sūraj ik gulāb tasht-e-sahar meñ thā

    din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha

    sara lahu badan ka rawan musht-e-par mein tha

    jate kahan ki raat ki banhen thin mushtail

    chhupte kahan ki sara jahan apne ghar mein tha

    had-e-ufuq pe sham thi KHeme mein muntazir

    aansu ka ek pahaD sa hail nazar mein tha

    lo wo bhi KHushk ret ke Tile mein Dhal gaya

    kal tak jo ek koh-e-giran rahguzar mein tha

    utra tha wahshi chiDiyon ka lashkar zamin par

    phir ek bhi sabz pat na sare nagar mein tha

    pagal si ek sada kisi ujDe makan mein thi

    khiDki mein ek charagh bhari-dopahar mein tha

    us ka badan tha KHauf ki hiddat se shoala-wash

    suraj ka ek gulab sa tasht-e-sahar mein tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 530)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now