din Dhale ka ye talluq KHwab sa rah jaega
din Dhale kā ye ta.alluq ḳhvāb sā rah jā.egā
ham chale jā.eñge aur tū jāgtā rah jā.egā
fāsle āfāq ko le kar kahīñ kho jā.eñge
kā.enātoñ ke tasarruf meñ ḳhalā rah jā.egā
kuuñj dariyā choñch meñ bhar kar havā ho jā.egī
pāniyoñ kā dāstāñ-go dekhtā rah jā.egā
jāgte jangal meñ kho jā.eñgī pariyāñ ḳhvāb kī
muntazir nīñdoñ kā darvāza khulā rah jā.egā
zād-e-rah meñ rakh le sūraj bāñdh kar chāhe 'navāb'
shām-nagrī kī taraf jo bhī chalā rah jā.egā
din Dhale ka ye talluq KHwab sa rah jaega
hum chale jaenge aur tu jagta rah jaega
fasle aafaq ko le kar kahin kho jaenge
kaenaton ke tasarruf mein KHala rah jaega
kunj dariya chonch mein bhar kar hawa ho jaegi
paniyon ka dastan-go dekhta rah jaega
jagte jangal mein kho jaengi pariyan KHwab ki
muntazir nindon ka darwaza khula rah jaega
zad-e-rah mein rakh le suraj bandh kar chahe 'nawab'
sham-nagri ki taraf jo bhi chala rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.