Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se

Ahmad Zafar

din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se

Ahmad Zafar

MORE BYAhmad Zafar

    din huā kaT kar girā maiñ raushnī dhaar se

    ḳhalq ne dekhe lahū meñ raat ke anvār se

    uḌ gayā kaalā kabūtar muḌ ga.ī ḳhvāboñ rau

    sāya-e-dīvār ne kyā kah diyā dīvār se

    jab se dil andhā huā āñkheñ khulī rakhtā huuñ maiñ

    us pe martā bhī huuñ ġhāfil bhī nahīñ ghar-bār se

    ḳhaak par uḌtī bikhartī purza purza aarzū

    yaad hai ye kuchh havā āḳhirī yalġhār se

    ab to bārish ho jaanī chāhiye us ne kahā

    taaki bojh utre purānī gard ashjār se

    ishq to ab sher kahne bahāna rah gayā

    harf ko rakhtā huuñ raushan sho.ala-e-afkār se

    shahr ke naqshe se maiñ miT bhī chukā kab 'zafar'

    chār-sū lekin chamakte haiñ mire āsār se

    din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se

    KHalq ne dekhe lahu mein raat ke anwar se

    uD gaya kala kabutar muD gai KHwabon ki rau

    saya-e-diwar ne kya kah diya diwar se

    jab se dil andha hua aankhen khuli rakhta hun main

    us pe marta bhi hun ghafil bhi nahin ghar-bar se

    KHak par uDti bikharti purza purza aarzu

    yaad hai ye kuchh hawa ki aaKHiri yalghaar se

    ab to barish ho hi jaani chahiye us ne kaha

    taki bojh utre purani gard ka ashjar se

    ishq to ab sher kahne ka bahana rah gaya

    harf ko rakhta hun raushan shoala-e-afkar se

    shahr ke naqshe se main miT bhi chuka kab ka 'zafar'

    chaar-su lekin chamakte hain mere aasar se

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 333)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now