Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ka malal sham ki wahshat kahan se laen

Razi Akhtar Shauq

din ka malal sham ki wahshat kahan se laen

Razi Akhtar Shauq

MORE BYRazi Akhtar Shauq

  din malāl shaam vahshat kahāñ se laa.eñ

  zar-zadgān-e-shahr mohabbat kahāñ se laa.eñ

  sarf-e-shumār-e-daulat-e-duniyā hue jo log

  vo nā-murād dil imārat kahāñ se laa.eñ

  saarā lahū to sarf-e-shumār-o-adū huā

  shām-e-firāq-e-yār ujrat kahāñ se laa.eñ

  vo jin ke dil ke saath na dhaḌkā ho koī dil

  zinda bhī haiñ to us shahādat kahāñ se laa.eñ

  do harf apne dil gavāhī ke vāste

  kahnā bhī chāhte hoñ to jur.at kahāñ se laa.eñ

  be-chehra log chehra dikhāne ke shauq meñ!

  ā.īne maañg laa.e haiñ hairat kahāñ se laa.eñ

  apne naqsh-e-pā ke aqīdat-guzār log

  kuchh aur dekhne ko basārat kahāñ se laa.eñ

  kuchh zargirān-e-shahr ne ahl-e-kamāl

  chehra banā liyā qad-o-qāmat kahāñ se laa.eñ

  ujḌe nahīñ kabhī vo jo TuuTe nahīñ kabhī

  vo log harf likhne quvvat kahāñ se laa.eñ

  jab dar band hoñ koī ḳhushbū kahāñ se aa.e

  gar lafz likh bhī deñ to halāvat kahāñ se laa.eñ

  din ka malal sham ki wahshat kahan se laen

  zar-zadgan-e-shahr mohabbat kahan se laen

  sarf-e-shumar-e-daulat-e-duniya hue jo log

  wo na-murad dil ki imarat kahan se laen

  sara lahu to sarf-e-shumar-o-adu hua

  sham-e-firaq-e-yar ki ujrat kahan se laen

  wo jin ke dil ke sath na dhaDka ho koi dil

  zinda bhi hain to us ki shahadat kahan se laen

  do harf apne dil ki gawahi ke waste

  kahna bhi chahte hon to jurat kahan se laen

  be-chehra log chehra dikhane ke shauq mein!

  aaine mang lae hain hairat kahan se laen

  apne hi naqsh-e-pa ke aqidat-guzar log

  kuchh aur dekhne ko basarat kahan se laen

  kuchh zargiran-e-shahr ne ahl-e-kamal ka

  chehra bana liya qad-o-qamat kahan se laen

  ujDe nahin kabhi wo jo TuTe nahin kabhi

  wo log harf likhne ki quwwat kahan se laen

  jab dar hi band hon koi KHushbu kahan se aae

  gar lafz likh bhi den to halawat kahan se laen

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Razi Akhtar Shauq

  Razi Akhtar Shauq

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now