Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ka raja hota hai aur raat ki rani hoti hai

Tasneem Abidi

din ka raja hota hai aur raat ki rani hoti hai

Tasneem Abidi

MORE BYTasneem Abidi

    din raajā hotā hai aur raat raanī hotī hai

    har ḳhushbū apnī apnī ek kahānī hotī hai

    pahle ik ik ḳhvāb se ham ta.amīr tamanna karte haiñ

    phir dil meñ ta.abīr ḳhud ḳhaak uḌaa.ī hotī hai

    pahlā shagūfa hairat duniyā ko dekh ke phūTā thā

    us ke baad to jīvan bhar ḳhud par hairānī hotī hai

    raat amāvas hai sar par aur sannāTā duur tilak

    dil dariyā meñ sochtī huuñ kaise tuġhyānī hotī hai

    yādoñ ke vīrāne se kuchh raushnī hāsil karte haiñ

    un āñkhoñ dil meñ jab tasvīr banānī hotī hai

    abr-e-naisāñ jab barsā āġhosh sadaf ne phailā.ī

    pahlā qatra bārish to pahlī nishānī hotī hai

    din ka raja hota hai aur raat ki rani hoti hai

    har KHushbu ki apni apni ek kahani hoti hai

    pahle ek ek KHwab se hum tamir tamanna karte hain

    phir dil mein tabir ki KHud hi KHak uDai hoti hai

    pahla shagufa hairat ka duniya ko dekh ke phuTa tha

    us ke baad to jiwan bhar KHud par hairani hoti hai

    raat amawas ki hai sar par aur sannaTa dur tilak

    dil dariya mein sochti hun kaise tughyani hoti hai

    yaadon ke virane se kuchh raushni hasil karte hain

    un aankhon ki dil mein jab taswir banani hoti hai

    abr-e-naisan jab barsa aaghosh sadaf ne phailai

    pahla qatra barish ka to pahli nishani hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now