Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ke sine pe raat ka patthar

Mahmood Beg Saaz

din ke sine pe raat ka patthar

Mahmood Beg Saaz

MORE BYMahmood Beg Saaz

    din ke siine pe raat patthar

    kis ke hai iltifāt patthar

    rok detā hai baḌhte qadmoñ ko

    ho ke haa.il hayāt patthar

    sañg-e-buniyād hai mohabbat

    mirī kā.enāt patthar

    mujh ko duniyā ne āzmāyā hai

    pheñk kar hādsāt patthar

    TukḌe TukḌe sifāt mūrat

    reza reza hai zaat patthar

    hai ye imdād-e-bāhamī bhavan

    pāñch iiñT saat patthar

    kyā uThā.eñge nā-tavāñ kāñdhe

    dahr ke iltifāt patthar

    haath aa jāoge rañge hāthoñ

    pheñk do apne haath patthar

    hone vaalā hai nazr āñdhī

    ik na ik din hayāt patthar

    'sāz' kul vārdāt kah degā

    mauqa-e-vārdāt patthar

    din ke sine pe raat ka patthar

    kis ke hai iltifat ka patthar

    rok deta hai baDhte qadmon ko

    ho ke hail hayat ka patthar

    sang-e-buniyaad hai mohabbat ka

    ya meri kaenat ka patthar

    mujh ko duniya ne aazmaya hai

    phenk kar hadsat ka patthar

    TukDe TukDe sifat ki murat

    reza reza hai zat ka patthar

    hai ye imdad-e-bahami ka bhawan

    panch ki inT sat ka patthar

    kya uThaenge na-tawan kandhe

    dahr ke iltifat ka patthar

    hath aa jaoge range hathon

    phenk do apne hath ka patthar

    hone wala hai nazr aandhi ki

    ek na ek din hayat ka patthar

    'saz' kul wardat kah dega

    mauqa-e-wardat ka patthar

    Source:

    Tar-e-Nafas (Pg. 21)

    • Author: Mahmood Beg Saaz
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now