Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain

Hidayatullah Khan Shamsi

din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain

Hidayatullah Khan Shamsi

MORE BYHidayatullah Khan Shamsi

    din raat tumhārī yādoñ se ham zaḳhm sañvārā karte haiñ

    pardes meñ jaise-taise ai dost guzārā karte haiñ

    ḳhuddār tabī.at hai apnī fāqoñ pe basar kar lete haiñ

    ehsān kisī duniyā meñ hargiz na gavārā karte haiñ

    ab laakh ḳhizāoñ mausam bhī kuchh na guloñ kar paa.e

    ham ḳhūn-e-jigar se gulshan har rañg nikhārā karte haiñ

    atrāf hamāre logoñ ik bhiiḌ thī jab tak paisa thā

    ye jeb huī ab ḳhālī to sab log kināra karte haiñ

    jab un ke muqābil hote haiñ vo baat nahīñ karte ham se

    aur duur nazar se hote bas zikr hamārā karte haiñ

    kyuuñ zaḳhm dikhā.eñ ham 'shamsī' ab kaun lagā.egā marham

    sab log to dil meñ hans hans kar ḳhanjar utārā karte haiñ

    din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain

    pardes mein jaise-taise hi ai dost guzara karte hain

    KHuddar tabiat hai apni faqon pe basar kar lete hain

    ehsan kisi ka duniya mein hargiz na gawara karte hain

    ab lakh KHizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar pae

    hum KHun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhaara karte hain

    atraf hamare logon ki ek bhiD thi jab tak paisa tha

    ye jeb hui ab KHali to sab log kinara karte hain

    jab un ke muqabil hote hain wo baat nahin karte hum se

    aur dur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain

    kyun zaKHm dikhaen hum 'shamsi' ab kaun lagaega marham

    sab log to dil mein hans hans kar KHanjar hi utara karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now