Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein

Jameel Mazhari

diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    diye bhī hoñ to pujārī sūraj ke saañs kyā leñge tīrgī meñ

    kaho patangoñ se raqs kar leñ charāġh dhīmī raushnī meñ

    muaaf ai nāz-e-rahnumā.ī pahuñch ke manzil pe bhī na paa.ī

    vo lazzat-e-ḳhvāb jo mayassar huī sar-e-rāh-e-ḳhastagī meñ

    vafā ko thoḌī be-niyāzī kam-iltifātī ne terī de

    ab aur kyā chāhiye ḳhudī ko tirī mohabbat be-ḳhudī meñ

    chhupī na jab ḳhāk-e-āstāñ se chhupegī kyā chashm-e-nukta-dāñ se

    vo ik shikan jo zarā ubhrī jabīn-e-majbūr-e-bandagī se

    idhar añdhere la.anteñ haiñ udhar ujāle zahmateñ haiñ

    tire musāfir lagā.eñ bistar kahāñ pe sahrā-e-zindagī meñ

    'jamīl' ham uTh ke gir paḌe aur guzar gayā kārvāñ hamārā

    ġhubār baat tak na pūchhī musāfiroñ ne ravā-ravī meñ

    diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein

    kaho patangon se raqs kar len charagh ki dhimi raushni mein

    muaf ai naz-e-rahnumai pahunch ke manzil pe bhi na pai

    wo lazzat-e-KHwab jo mayassar hui sar-e-rah-e-KHastagi mein

    wafa ko thoDi si be-niyazi kam-iltifati ne teri de di

    ab aur kya chahiye KHudi ko teri mohabbat ki be-KHudi mein

    chhupi na jab KHak-e-astan se chhupegi kya chashm-e-nukta-dan se

    wo ek shikan jo zara si ubhri jabin-e-majbur-e-bandagi se

    idhar andhere ki lanten hain udhar ujale ki zahmaten hain

    tere musafir lagaen bistar kahan pe sahra-e-zindagi mein

    'jamil' hum uTh ke gir paDe aur guzar gaya karwan hamara

    ghubar ki baat tak na puchhi musafiron ne rawa-rawi mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now