Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do bund ko shabnam ki gulzar taraste hain

Rifat Al-Husaini

do bund ko shabnam ki gulzar taraste hain

Rifat Al-Husaini

MORE BYRifat Al-Husaini

    do buuñd ko shabnam gulzār taraste haiñ

    bādal tirī rahmat ke jangal pe baraste haiñ

    do lafz mohabbat ke do lafz tasallī ke

    ahbāb-o-a.izzā sab sunñe ko taraste haiñ

    har moḌ pe baiThe haiñ ifrīt dahan khole

    ye kaun manzil hai ye kaun se raste haiñ

    jin logoñ se raunaq thī us shahr-e-nigārāñ

    vo shahr-e-ḳhamoshāñ ḳhāmoshī meñ baste haiñ

    sho.ale kabhī holī ke uThte haiñ rag-e-jāñ se

    bādal kabhī sāvan ke āñkhoñ se baraste haiñ

    'rif.at' ye ḳhamoshī bhī hālāt sūrat hai

    be-vaj.h ġharīboñ par kyoñ aap garajte haiñ

    do bund ko shabnam ki gulzar taraste hain

    baadal teri rahmat ke jangal pe baraste hain

    do lafz mohabbat ke do lafz tasalli ke

    ahbab-o-aizza sab sunne ko taraste hain

    har moD pe baiThe hain ifrit dahan khole

    ye kaun si manzil hai ye kaun se raste hain

    jin logon se raunaq thi us shahr-e-nigaran ki

    wo shahr-e-KHamoshan ki KHamoshi mein baste hain

    shoale kabhi holi ke uThte hain rag-e-jaan se

    baadal kabhi sawan ke aankhon se baraste hain

    'rifat' ye KHamoshi bhi haalat ki surat hai

    be-wajh gharibon par kyon aap garajte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now