do chaar pal ka hai ye gham-e-tirgi sahar
do chaar pal kā hai ye ġham-e-tīrgī 'sahar'
laa.ī hai apne saath sadā raushnī 'sahar'
jazbāt dūsroñ ke samajhtā hai kaun ab
hai apnī apnī sab kī ġhamī aur ḳhushī 'sahar'
daur-e-ġham-e-firāq bhī dukh hai koī bhalā
dekhī nahīñ hai tum ne abhī bebasī 'sahar'
manzil agar qarīb hai to chhū ke dekhiye
paanī hai yā sarāb koī ‘anjalī-sahar'
do chaar pal ka hai ye gham-e-tirgi 'sahar'
lai hai apne sath sada raushni 'sahar'
jazbaat dusron ke samajhta hai kaun ab
hai apni apni sab ki ghami aur KHushi 'sahar'
daur-e-gham-e-firaq bhi dukh hai koi bhala
dekhi nahin hai tum ne abhi bebasi 'sahar'
manzil agar qarib hai to chhu ke dekhiye
pani hai ya sarab koi ‘anjali-sahar'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.