do damoñ se hai faqat gor-e-ġharībāñ ābād
tum hamesha raho ai hasrat-o-armāñ ābād
tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-vīrāñ ābād
kyā sar-afrāz kiyā ḳhāna-vīrāñ ābād
jis jagah baiTh ke ro.e vo makāñ Duub ga.e
shahr hone nahīñ dete tire giryāñ ābād
qais-o-farhād ke dam se bhī 'ajab raunaq thī
kuchh dinoñ ḳhuub rahe koh-o-bayābāñ ābād
vahshat-e-dil ye baḌhī chhoḌ diye ghar sab ne
tum hue ḳhāna-nashīñ ho ga.iiñ galiyāñ ābād
āmad-e-qāfila-e-dard-o-alam hai sad-shukr
aaj hotī hai sarā-e-dil-e-vīrāñ ābād
miT ga.e dāġh-e-jigar husn-e-ruḳh-e-yār gayā
kal kī hai baat ki thā kyā ye gulistāñ ābād
tere dīvānoñ ke jis dasht se uTThe bistar
vahshiyoñ se na huā phir vo bayābāñ ābād
sūrat-e-sham' huā ḳhāk-e-badan jal jal kar
ham ne turbat bhī na kī ai shab-e-hijrāñ ābād
sohbateñ ho ga.iiñ barbād gul-andāmoñ kī
ḳhaak uḌtī hai vahāñ the jo gulistāñ ābād
siina o dil meñ ḳhushī se na jagah thī ġham kī
ai 'ta'ashshuq' ye makāñ bhī the kabhī haañ ābād
do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad
tum hamesha raho ai hasrat-o-arman aabaad
tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-viran aabaad
kya sar-afraaz kiya KHana-viran aabaad
jis jagah baiTh ke roe wo makan Dub gae
shahr hone nahin dete tere giryan aabaad
qais-o-farhad ke dam se bhi 'ajab raunaq thi
kuchh dinon KHub rahe koh-o-bayaban aabaad
wahshat-e-dil ye baDhi chhoD diye ghar sab ne
tum hue KHana-nashin ho gain galiyan aabaad
aamad-e-qafila-e-dard-o-alam hai sad-shukr
aaj hoti hai sara-e-dil-e-viran aabaad
miT gae dagh-e-jigar husn-e-ruKH-e-yar gaya
kal ki hai baat ki tha kya ye gulistan aabaad
tere diwanon ke jis dasht se uTThe bistar
wahshiyon se na hua phir wo bayaban aabaad
surat-e-sham' hua KHak-e-badan jal jal kar
hum ne turbat bhi na ki ai shab-e-hijran aabaad
sohbaten ho gain barbaad gul-andamon ki
KHak uDti hai wahan the jo gulistan aabaad
sina o dil mein KHushi se na jagah thi gham ki
ai 'ta'ashshuq' ye makan bhi the kabhi han aabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.