Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do din ki hansi do din ki KHushi anjam-e-amal rona hi paDa

Ijtiba Rizvi

do din ki hansi do din ki KHushi anjam-e-amal rona hi paDa

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    do din hañsī do din ḳhushī anjām-e-amal ronā paḌā

    ik umr gañvā.ī jis ke liye ik roz use khonā paḌā

    ham aur alā.eq se chhūTeñ mumkin nahīñ jab tak ham ham haiñ

    dariyā ko ba-īñ āzād-ravī zanjīr-ba-pā honā paḌā

    bāzār meñ aa kar nādāñ dil manzar ke khilaunoñ par machlā

    aur pīr-e-ḳhird ko kāñdhe par ambār-e-nazar Dhonā paḌā

    kyā jāniye āḳhir kyoñ itnī āzurda rahī hoñToñ se hañsī

    qismat pe bhī hañsnā jab chāhā aa.ī na hañsī ronā paḌā

    ham tuḳhm-e-mohabbat jannat se siine meñ churā kar le aa.e

    is ret meñ kyā ugtā vo bhalā haañ laa.e the bonā paḌā

    bedār-dilī ke mansūbe ham kyā kyā bāñdh ke aa.e the

    duniyā ne thapak kar lorī niiñd aa ga.ī sonā paḌā

    do din ki hansi do din ki KHushi anjam-e-amal rona hi paDa

    ek umr ganwai jis ke liye ek roz use khona hi paDa

    hum aur alaeq se chhuTen mumkin nahin jab tak hum hum hain

    dariya ko ba-in aazad-rawi zanjir-ba-pa hona hi paDa

    bazar mein aa kar nadan dil manzar ke khilaunon par machla

    aur pir-e-KHird ko kandhe par ambar-e-nazar Dhona hi paDa

    kya jaaniye aaKHir kyon itni aazurda rahi honTon se hansi

    qismat pe bhi hansna jab chaha aai na hansi rona hi paDa

    hum tuKHm-e-mohabbat jannat se sine mein chura kar le aae

    is ret mein kya ugta wo bhala han lae the bona hi paDa

    bedar-dili ke mansube hum kya kya bandh ke aae the

    duniya ne thapak kar lori di nind aa hi gai sona hi paDa

    Source:

    Shola-e-Nida (Pg. 179)

    • Author: Ijtiba Rizvi
      • Publisher: Husain Ahmad Madani
      • Year of Publication: 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now