do din se eqtidar mein kya aa gaya KHuda
do din se eqtidār meñ kyā aa gayā ḳhudā
har aadmī pukār rahā hai ḳhudā ḳhudā
niklegā kab añdheroñ ke narġhe se aadmī
TūTegā kab burā.ī kā ye dā.era ḳhudā
uljhā huuñ jaane kab se tazabzub ke jaal meñ
manzar dikhā de mujh ko tū us paar kā ḳhudā
har lamha sab ke haal kī rakhtā hai tū ḳhabar
kuchh apnā haal bhī to kisī ko batā ḳhudā
hai kitnī qīmtī ye mirī bandagī na pūchh
sadiyoñ ke baad mujh ko milā hai mirā ḳhudā
muusā kī fikr aur hai fir'aun kī kuchh aur
chhoTā kisī se hai to kisī se baḌā ḳhudā
sahmā huā thā jis kī bulandī se maiñ bahut
vo āsmān sar pe mire aa girā ḳhudā
taskīn ho yahāñ ke nazāroñ se kyā mujhe
manzar mirī nigāh meñ hai duur kā ḳhudā
'najmī' jamāl sang-e-ġhazal ko tarāsh kar
ik but banā rahā thā magar ban gayā ḳhudā
do din se eqtidar mein kya aa gaya KHuda
har aadmi pukar raha hai KHuda KHuda
niklega kab andheron ke narghe se aadmi
TuTega kab burai ka ye daera KHuda
uljha hun jaane kab se tazabzub ke jal mein
manzar dikha de mujh ko tu us par ka KHuda
har lamha sab ke haal ki rakhta hai tu KHabar
kuchh apna haal bhi to kisi ko bata KHuda
hai kitni qimti ye meri bandagi na puchh
sadiyon ke baad mujh ko mila hai mera KHuda
musa ki fikr aur hai fir'aun ki kuchh aur
chhoTa kisi se hai to kisi se baDa KHuda
sahma hua tha jis ki bulandi se main bahut
wo aasman sar pe mere aa gira KHuda
taskin ho yahan ke nazaron se kya mujhe
manzar meri nigah mein hai dur ka KHuda
'najmi' jamal sang-e-ghazal ko tarash kar
ek but bana raha tha magar ban gaya KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.