Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho

Bekhud Dehlvi

donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    donoñ jānib se ho gar ahd-e-vafā ho

    chāhat mazā jab hai ki tum bhī mujhe chāho

    ye ham nahīñ kahte haiñ ki dushman ko na chāho

    is chaah anjām magar dekhiye kyā ho

    shamshīr se baḌh kar haiñ hasīnoñ adā.eñ

    be-maut kiyā qatl un achchhoñ burā ho

    ma.ashūq tarah-dār ho andāz ho achchhā

    dil aa.e na aise pe to phir dil burā ho

    puurā koī hotā nazar aatā nahīñ armāñ

    un ko to ye zid hai ki hamārā kahā ho

    tum mujh ko pilāte to ho mai siina pe chaḌh kar

    us vaqt agar koī chalā aa.e to kyā ho

    va.ada vo tumhārā hai ki lab tak nahīñ aatā

    matlab ye hamārā hai ki bātoñ meñ adā ho

    ḳhanjar zarūrat hai na shamshīr hājat

    tirchhī nazar ho koī bāñkī adā ho

    ḳhālī to na jaa.eñ dam-e-ruḳhsat mire naale

    fitna koī uTThe jo qayāmat na bapā ho

    chorī to kuchh baat nahīñ mujh ko batā do

    merā dil-e-betāb agar tum ne liyā ho

    un se dam-e-raftār ye kahtī hai qayāmat

    fitne se na ḳhālī koī naqsh-e-kaf-e-pā ho

    bad-zan haiñ vo is tarah ki surma use samjheñ

    bīmār āñkhoñ meñ agar niil Dhalā ho

    ḳhat khol ke paḌhte hue Dartā huuñ kisī

    lipTī huī ḳhat meñ na kahīñ merī qazā ho

    marnā hai usī jo tujhe dekh ke mar jaa.e

    jiinā hai usī jo mohabbat meñ jiyā ho

    hai dil jagah siine meñ kāvish abhī baaqī

    paikāñ koī pahlū meñ mire rah na gayā ho

    mujh ko bhī kahīñ aur se aayā hai bulāvā

    achchhā hai chalo aaj bhī va.ada na vafā ho

    'beḳhud' fasāna to hai mash.hūr-e-zamāna

    ye zikr to shāyad kabhī tum ne bhī sunā ho

    donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho

    chahat ka maza jab hai ki tum bhi mujhe chaho

    ye hum nahin kahte hain ki dushman ko na chaho

    is chah ka anjam magar dekhiye kya ho

    shamshir se baDh kar hain hasinon ki adaen

    be-maut kiya qatl un achchhon ka bura ho

    mashuq tarah-dar ho andaz ho achchha

    dil aae na aise pe to phir dil ka bura ho

    pura koi hota nazar aata nahin arman

    un ko to ye zid hai ki hamara hi kaha ho

    tum mujh ko pilate to ho mai sina pe chaDh kar

    us waqt agar koi chala aae to kya ho

    wada wo tumhaara hai ki lab tak nahin aata

    matlab ye hamara hai ki baaton mein ada ho

    KHanjar ki zarurat hai na shamshir ki hajat

    tirchhi si nazar ho koi banki si ada ho

    KHali to na jaen dam-e-ruKHsat mere nale

    fitna koi uTThe jo qayamat na bapa ho

    chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bata do

    mera dil-e-betab agar tum ne liya ho

    un se dam-e-raftar ye kahti hai qayamat

    fitne se na KHali koi naqsh-e-kaf-e-pa ho

    bad-zan hain wo is tarah ki surma use samjhen

    bimar ki aankhon mein agar nil Dhala ho

    KHat khol ke paDhte hue Darta hun kisi ka

    lipTi hui KHat mein na kahin meri qaza ho

    marna hai usi ka jo tujhe dekh ke mar jae

    jina hai usi ka jo mohabbat mein jiya ho

    hai dil ki jagah sine mein kawish abhi baqi

    paikan koi pahlu mein mere rah na gaya ho

    mujh ko bhi kahin aur se aaya hai bulawa

    achchha hai chalo aaj bhi wada na wafa ho

    'beKHud' ka fasana to hai mashhur-e-zamana

    ye zikr to shayad kabhi tum ne bhi suna ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now