Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosti chand mulaqat se aage na baDhi

Al-Haaj Al-Hafiz

dosti chand mulaqat se aage na baDhi

Al-Haaj Al-Hafiz

MORE BYAl-Haaj Al-Hafiz

    dostī chand mulāqāt se aage na baḌhī

    shiddat-e-girya munājāt se aage na baḌhī

    soz-e-dil dekhiye is bazm meñ parvāne

    zindagī jis bas ik raat se aage na baḌhī

    aa.e vo din meñ magar lutf vahī thā shab

    zulf-e-shab-rang siyah raat se aage na baḌhī

    ye baḌī raat magar vaah re apnī qismat

    ye shab-e-qadr ibādāt se aage na baḌhī

    din sitāroñ fanā raat fanā zarroñ

    ye vo zid hai jo musāvāt se aage na baḌhī

    chashm-e-giryāñ na kaho ye hai jhaḌī sāvan

    koī mausam ho ye barsāt se aage na baḌhī

    ek vo ke jise sair kareñ jannat

    ek ye mai jo ḳharābāt se aage na baḌhī

    kaise nādān ho qismat pe ho baiThe bekār

    bas yahī aql ḳhayālāt se aage na baḌhī

    pahle apnī to haqīqat zarā samjho 'dīvān'

    ye vo miTTī hai jo auqāt se aage na baḌhī

    dosti chand mulaqat se aage na baDhi

    shiddat-e-girya munajat se aage na baDhi

    soz-e-dil dekhiye is bazm mein parwane ka

    zindagi jis ki bas ek raat se aage na baDhi

    aae wo din mein magar lutf wahi tha shab ka

    zulf-e-shab-rang siyah raat se aage na baDhi

    ye baDi raat magar wah re apni qismat

    ye shab-e-qadr ibaadat se aage na baDhi

    din sitaron ki fana raat fana zarron ki

    ye wo zid hai jo musawat se aage na baDhi

    chashm-e-giryan na kaho ye hai jhaDi sawan ki

    koi mausam ho ye barsat se aage na baDhi

    ek wo pi ke jise sair karen jannat ki

    ek ye mai jo KHarabaat se aage na baDhi

    kaise nadan ho qismat pe ho baiThe bekar

    bas yahi aql KHayalat se aage na baDhi

    pahle apni to haqiqat zara samjho 'diwan'

    ye wo miTTi hai jo auqat se aage na baDhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now