Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosti husn-o-mohabbat mein magar hoti hai

Gham Bijnori

dosti husn-o-mohabbat mein magar hoti hai

Gham Bijnori

MORE BYGham Bijnori

    dostī husn-o-mohabbat meñ magar hotī hai

    zindagī ḳhaar phūloñ meñ basar hotī hai

    har adā un jo manzūr-e-nazar hotī hai

    jān-e-dil hotī hai paivast-e-jigar hotī hai

    baat bantī hai to ho jaatī hai duniyā haa.il

    baat baḌhtī hai to duniyā ko ḳhabar hotī hai

    zo.af-e-anvār ko taqdīr samajhne vaale

    har javāñ raat paiġhām-e-sahar hotī hai

    har kisī chashm aañsū hai binā-e-tūfāñ

    jab tirī yaad bhī hamrāz-e-safar hotī hai

    tum mujhe pyaar ke andāz se dekhā na karo

    dil dhaḌaktā hai to duniyā ko ḳhabar hotī hai

    sun liyā kartā huuñ aksar maiñ kahānī 'ġham'

    ġham ke andāz meñ jo raat basar hotī hai

    dosti husn-o-mohabbat mein magar hoti hai

    zindagi KHar ki phulon mein basar hoti hai

    har ada un ki jo manzur-e-nazar hoti hai

    jaan-e-dil hoti hai paiwast-e-jigar hoti hai

    baat banti hai to ho jati hai duniya hail

    baat baDhti hai to duniya ko KHabar hoti hai

    zoaf-e-anwar ko taqdir samajhne wale

    har jawan raat hi paigham-e-sahar hoti hai

    har kisi chashm ka aansu hai bina-e-tufan

    jab teri yaad bhi hamraaz-e-safar hoti hai

    tum mujhe pyar ke andaz se dekha na karo

    dil dhaDakta hai to duniya ko KHabar hoti hai

    sun liya karta hun aksar main kahani 'gham' ki

    gham ke andaz mein jo raat basar hoti hai

    Source:

    Abr-e-Baran (Pg. 25)

    • Author: Gham Bijnori
      • Publisher: Gham Bijnori
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now