dosto ummid hai aisa zamana aaega
dosto ummīd hai aisā zamāna aa.egā
sab ke hissoñ meñ jab ik ik āshiyāna aa.egā
aaj patjhaḌ kal bahārāñ mausamoñ kī gasht hai
ai gul-e-māyūs mausam phir suhānā aa.egā
jin kī nazroñ meñ haiñ sho'la jin ke sīnoñ meñ jalan
un ke hoñToñ par mohabbat kā tarāna aa.egā
saaqī aur mai-ḳhvār ke kirdār badlā kījiye
sab ko piinā aa.egā sab ko pilānā aa.egā
kaam ko īmān se anjām detā chal bashar
jaane kis sūrat meñ terā mehnatāna aa.egā
dosto ummid hai aisa zamana aaega
sab ke hisson mein jab ek ek aashiyana aaega
aaj patjhaD kal bahaaran mausamon ki gasht hai
ai gul-e-mayus mausam phir suhana aaega
jin ki nazron mein hain sho'la jin ke sinon mein jalan
un ke honTon par mohabbat ka tarana aaega
saqi aur mai-KHwar ke kirdar badla kijiye
sab ko pina aaega sab ko pilana aaega
kaam ko iman se anjam deta chal bashar
jaane kis surat mein tera mehnatana aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.