doston sari kahani dhaDkanon ka khel hai
dostoñ saarī kahānī dhaḌkanoñ kā khel hai
aur kyā ye zindagānī dhaḌkanoñ kā khel hai
jānte haiñ bas vahī jo jī chuke khul kar ise
haa.e ye zālim javānī dhaḌkanoñ kā khel hai
pūchhnā keval usī se jis ke siine meñ ho dil
'ishq kī saarī kahānī dhaḌkanoñ kā khel hai
dekh le siine pe rakh kar sar to koī dosto
zinda rahne kī nishānī dhaḌkanoñ kā khel hai
ruuTh kar jaatī ho lekin sun lo 'rohit' kī sadā
jān-e-man ye zindagānī dhaḌkanoñ kā khel hai
doston sari kahani dhaDkanon ka khel hai
aur kya ye zindagani dhaDkanon ka khel hai
jaante hain bas wahi jo ji chuke khul kar ise
hae ye zalim jawani dhaDkanon ka khel hai
puchhna kewal usi se jis ke sine mein ho dil
'ishq ki sari kahani dhaDkanon ka khel hai
dekh le sine pe rakh kar sar to koi dosto
zinda rahne ki nishani dhaDkanon ka khel hai
ruTh kar jati ho lekin sun lo 'rohit' ki sada
jaan-e-man ye zindagani dhaDkanon ka khel hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.