Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua-e-nim-shab aah-e-sahar soz-e-darun dil ka

Rashidullah Khan Jauhar

dua-e-nim-shab aah-e-sahar soz-e-darun dil ka

Rashidullah Khan Jauhar

MORE BYRashidullah Khan Jauhar

    duā-e-nīm-shab āh-e-sahar soz-e-darūñ dil

    masīhā bhī hai monis bhī hai marham bhī hai bismil

    ilāhī merī ġharqābī meñ kis haath hai āḳhir

    safīna havā fitna-zā maujoñ sāhil

    hai merā zauq-e-rindī qaid har mausam se bālā-tar

    na maiñ pāband saaqī na shīshe na mahfil

    ḳhudā par hai mirā īmāñ qayāmat-ḳhez tūfāñ meñ

    bharosa nāḳhudā hai na kashtī na sāhil

    diyā karte haiñ aksar dāvat-e-fikr-e-suḳhan mujh ko

    sahar shabnam shafaq taare tabassum māh-e-kāmil

    ḳhirad vaale zarā ḳhud ThanDe dil se ġhaur farmā leñ

    fuġhāñ fariyād mātam naala hal hai kyā masā.il

    jise kahte haiñ manzil imtihāñ hai asl meñ 'jauhar'

    umangoñ junūñ hausloñ azm-e-kāmil

    dua-e-nim-shab aah-e-sahar soz-e-darun dil ka

    masiha bhi hai monis bhi hai marham bhi hai bismil ka

    ilahi meri gharqabi mein kis ka hath hai aaKHir

    safina ka hawa ka fitna-za maujon ka sahil ka

    hai mera zauq-e-rindi qaid har mausam se baala-tar

    na main paband saqi ka na shishe ka na mahfil ka

    KHuda par hai mera iman qayamat-KHez tufan mein

    bharosa naKHuda ka hai na kashti ka na sahil ka

    diya karte hain aksar dawat-e-fikr-e-suKHan mujh ko

    sahar shabnam shafaq tare tabassum mah-e-kaamil ka

    KHirad wale zara KHud ThanDe dil se ghaur farma len

    fughan fariyaad matam nala hal hai kya masail ka

    jise kahte hain manzil imtihan hai asl mein 'jauhar'

    umangon ka junun ka hauslon ka azm-e-kaamil ka

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 178)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now