aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua karo ki koi pyas nazr-e-jam na ho

Waseem Barelvi

dua karo ki koi pyas nazr-e-jam na ho

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    duā karo ki koī pyaas nazr-e-jām na ho

    vo zindagī nahīñ hai jo nā-tamām na ho

    jo mujh meñ tujh meñ chalā aa rahā hai sadiyoñ se

    kahīñ hayāt usī fāsle naam na ho

    koī charāġh na aañsū na ārzū-e-sahar

    ḳhudā kare ki kisī ghar meñ aisī shaam na ho

    ajiib shart lagā.ī hai ehtiyātoñ ne

    ki terā zikr karūñ aur terā naam na ho

    sabā-mizāj tezī bhī ek ne.amat hai

    agar charāġh bujhānā ek kaam na ho

    'vasīm' kitnī sub.heñ lahū lahū guzrīñ

    ik aisī sub.h bhī aa.e ki jis shaam na ho

    dua karo ki koi pyas nazr-e-jam na ho

    wo zindagi hi nahin hai jo na-tamam na ho

    jo mujh mein tujh mein chala aa raha hai sadiyon se

    kahin hayat usi fasle ka nam na ho

    koi charagh na aansu na aarzu-e-sahar

    KHuda kare ki kisi ghar mein aisi sham na ho

    ajib shart lagai hai ehtiyaton ne

    ki tera zikr karun aur tera nam na ho

    saba-mizaj ki tezi bhi ek neamat hai

    agar charagh bujhana hi ek kaam na ho

    'wasim' kitni hi subhen lahu lahu guzrin

    ek aisi subh bhi aae ki jis ki sham na ho

    Source:

    Mera Kiya (Pg. 106)

    • Author: Waseem Barelvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd.
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now