Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duaen de ke tumhein lutf-e-muKHtasar ke liye

Shameem Farooq Banspari

duaen de ke tumhein lutf-e-muKHtasar ke liye

Shameem Farooq Banspari

MORE BYShameem Farooq Banspari

    duā.eñ de ke tumheñ lutf-e-muḳhtasar ke liye

    guzar gayā koī aape se umr-bhar ke liye

    kuchh is adā se tilism-e-hijāb ko toḌā

    ki baḌh ke jalvoñ ne bose mirī nazar ke liye

    tumheñ tumhāre ruḳh-e-shab-faroz hai qasam

    hamārī raat bhī din kar do rāt-bhar ke liye

    vafūr-e-yās meñ aksar maiñ hans diyā 'fārūq'

    ba-hāl-e-ġhair bhī taskīn-e-chāragar ke liye

    duaen de ke tumhein lutf-e-muKHtasar ke liye

    guzar gaya koi aape se umr-bhar ke liye

    kuchh is ada se tilism-e-hijab ko toDa

    ki baDh ke jalwon ne bose meri nazar ke liye

    tumhein tumhaare ruKH-e-shab-faroz ki hai qasam

    hamari raat bhi din kar do raat-bhar ke liye

    wafur-e-yas mein aksar main hans diya 'faruq'

    ba-haal-e-ghair bhi taskin-e-chaaragar ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now