Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

Iftikhar Arif

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    dukh aur tarah ke haiñ duā aur tarah

    aur dāman-e-qātil havā aur tarah

    dīvār pe likkhī huī tahrīr hai kuchh aur

    detī hai ḳhabar ḳhalq-e-ḳhudā aur tarah

    kis daam uThā.eñge ḳharīdār ki is baar

    bāzār meñ hai jins-e-vafā aur tarah

    bas aur koī din ki zarā vaqt Thahar jaa.e

    sahrāoñ se aa.egī sadā aur tarah

    ham kū-e-malāmat se nikal aa.e to ham ko

    raas aa.ī na phir āb-o-havā aur tarah

    dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

    aur daman-e-qatil ki hawa aur tarah ki

    diwar pe likkhi hui tahrir hai kuchh aur

    deti hai KHabar KHalq-e-KHuda aur tarah ki

    kis dam uThaenge KHaridar ki is bar

    bazar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki

    bas aur koi din ki zara waqt Thahar jae

    sahraon se aaegi sada aur tarah ki

    hum ku-e-malamat se nikal aae to hum ko

    ras aai na phir aab-o-hawa aur tarah ki

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Iftikhar Arif

    dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki Iftikhar Arif

    Source:

    Mahr-e-Do Neem (Pg. 157)

    • Author: iftekhaar aarif
      • Edition: 1999
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now