dukh ka sathi bane gham ka chaara bane
dukh kā sāthī bane ġham kā chārā bane
yā to mar jaa.e yā phir hamārā bane
aur is baar is meñ ḳhudā bhī rahe
merī ḳhvāhish hai duniyā dubāra bane
TūTnā hī agar is kī qismat meñ hai
kyoñ na siine meñ dil paarā paarā bane
toḌ lā.ūñ zamīñ pe sitāre sabhī
koī mar ke agar sach meñ taarā bane
'ramz' us ke binā chal na pā.ūñgā maiñ
us se kah do ki merā sahārā bane
dukh ka sathi bane gham ka chaara bane
ya to mar jae ya phir hamara bane
aur is bar is mein KHuda bhi rahe
meri KHwahish hai duniya dubara bane
TuTna hi agar is ki qismat mein hai
kyon na sine mein dil para para bane
toD laun zamin pe sitare sabhi
koi mar ke agar sach mein tara bane
'ramz' us ke bina chal na paunga main
us se kah do ki mera sahaara bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.