dukhon ne kar diya mera wujud patthar ka
dukhoñ ne kar diyā merā vujūd patthar kā
ki iztirāb nikaltā nahīñ hai andar kā
firāq-rut ne kiyā kaam nok-e-nashtar kā
marīz-e-'ishq pe utrā 'azāb bistar kā
ḳhabar nahīñ ki mirā qāfila kahāñ luuTe
ki e'timād nahīñ hai kisī ko rahbar kā
vo lafz duur mirī ḳhāmushī na jaan sake
gila karūñ maiñ muqaddar kā yā ki dilbar kā
'adāvateñ maiñ karūñgā 'adāvateñ tujh se
ki aadmī nahīñ hai tū mire barābar kā
dukhon ne kar diya mera wujud patthar ka
ki iztirab nikalta nahin hai andar ka
firaq-rut ne kiya kaam nok-e-nashtar ka
mariz-e-'ishq pe utra 'azab bistar ka
KHabar nahin ki mera qafila kahan luTe
ki e'timad nahin hai kisi ko rahbar ka
wo lafz dur meri KHamushi na jaan sake
gila karun main muqaddar ka ya ki dilbar ka
'adawaten main karunga 'adawaten tujh se
ki aadmi nahin hai tu mere barabar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.