aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya duniya sair safar thi shauq ki rah tamam hui

Sajjad Baqar Rizvi

duniya duniya sair safar thi shauq ki rah tamam hui

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    Interesting Fact

    July 1964

    duniyā duniyā sair safar thī shauq raah tamām huī

    is bastī meñ sub.h huī thī is bastī meñ shaam huī

    kaisī lahar hai sard havā saare ThiThure baiThe haiñ

    kal tak to bas ham chup chup the aaj ḳhamoshī aam huī

    mausam badle dil sūraj dukh ghaTā meñ Duub gayā

    pyaar ke lail-o-nahār na pūchho shaam se pahle shaam huī

    dard barkhā TuuT ke barsī phuuT bahe palkoñ ke band

    is bārish meñ vaz-e-vafā har koshish nākām huī

    halkī ik lahar thī ab vo tūfāñ ban kar ubhrī hai

    ik be-nām ḳhalish thī pahle ab vo terā naam huī

    tere sar par raat raanī mahak mahak kar phuul banī

    mere sar meñ phuul ḳhushbū shorish paiġhām huī

    chhoTā vo dil TukḌā kyā kyā fasleñ detā thā

    haif qimār-e-ishq ke kāran kaisī zamīñ nīlām huī

    pahle to ik saaya ubhrā phir saaya tasvīr banā

    ab vo shakl mirī dīvār pe goyā naqsh-e-davām huī

    ek amal ke do pahlū āvāz-e-salāsil jazb chup

    vo bhī mere naam huī thī ye bhī mere naam huī

    ahl-e-hunar duniyā-talabī shauq-e-shahādat kyā kartī

    ik talvār thī arz-e-hunar vo bhī zeb-e-niyām huī

    'bāqar' tum sayyad-zāde ho sar ko uThā.e phirnā kyā

    shauq-o-talab hujjat-e-āḳhir āḳhir-kār tamām huī

    duniya duniya sair safar thi shauq ki rah tamam hui

    is basti mein subh hui thi is basti mein sham hui

    kaisi lahar hai sard hawa ki sare ThiThure baiThe hain

    kal tak to bas hum chup chup the aaj KHamoshi aam hui

    mausam badle dil ka suraj dukh ki ghaTa mein Dub gaya

    pyar ke lail-o-nahaar na puchho sham se pahle sham hui

    dard ki barkha TuT ke barsi phuT bahe palkon ke band

    is barish mein waz-e-wafa ki har koshish nakaam hui

    halki si ek lahar thi ab wo tufan ban kar ubhri hai

    ek be-nam KHalish thi pahle ab wo tera nam hui

    tere sar par raat ki rani mahak mahak kar phul bani

    mere sar mein phul ki KHushbu shorish ka paigham hui

    chhoTa sa wo dil ka TukDa kya kya faslen deta tha

    haif qimar-e-ishq ke karan kaisi zamin nilam hui

    pahle to ek saya ubhra phir saya taswir bana

    ab wo shakl meri diwar pe goya naqsh-e-dawam hui

    ek amal ke do pahlu aawaz-e-salasil jazb ki chup

    wo bhi mere nam hui thi ye bhi mere nam hui

    ahl-e-hunar ki duniya-talabi shauq-e-shahadat kya karti

    ek talwar thi arz-e-hunar ki wo bhi zeb-e-niyam hui

    'baqar' tum sayyad-zade ho sar ko uThae phirna kya

    shauq-o-talab ki hujjat-e-aKHir aaKHir-kar tamam hui

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 146)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now