Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya kuchh is tariqe se sadme mein aa gai

Shahid Jamal

duniya kuchh is tariqe se sadme mein aa gai

Shahid Jamal

MORE BYShahid Jamal

    duniyā kuchh is tarīqe se sadme meñ aa ga.ī

    jaise simaT ke ik sadī lamhe meñ aa ga.ī

    koī gale bhī miltā na ho jab kisī se aaj

    kuchh baat hai jo bhiiḌ janāze meñ aa ga.ī

    ā.īne dekhne hunar jab se chhin gayā

    patthar har sifat mire chehre meñ aa ga.ī

    vo nasl kyā uThā.egī ab zindagī bojh

    bachpan se jo sīdhe buḌhāpe meñ aa ga.ī

    phūloñ ik zabān se rishta to hai magar

    kitnī karaḳhtagī mire lahje meñ aa ga.ī

    allah karam samajhiyegā āj-kal

    koī sifat jo baap beTe meñ aa ga.ī

    'shāhid' pe mehrbāñ jo huī hai kabhī ġhazal

    dahlīz se uThī to darīche meñ aa ga.ī

    duniya kuchh is tariqe se sadme mein aa gai

    jaise simaT ke ek sadi lamhe mein aa gai

    koi gale bhi milta na ho jab kisi se aaj

    kuchh baat hai jo bhiD janaze mein aa gai

    aaine dekhne ka hunar jab se chhin gaya

    patthar ki har sifat mere chehre mein aa gai

    wo nasl kya uThaegi ab zindagi ka bojh

    bachpan se hi jo sidhe buDhape mein aa gai

    phulon si ek zaban se rishta to hai magar

    kitni karaKHtagi mere lahje mein aa gai

    allah ka karam hi samajhiyega aaj-kal

    koi sifat jo bap ki beTe mein aa gai

    'shahid' pe mehrban jo hui hai kabhi ghazal

    dahliz se uThi to dariche mein aa gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now