Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta

Faheemuddin Ahmad Faheem

duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta

Faheemuddin Ahmad Faheem

MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem

    duniyā meñ koī tujh bashar ho nahīñ saktā

    yuuñ koī kahe laakh magar ho nahīñ saktā

    jo kaam hai dil vo jigar kar nahīñ saktā

    ye dard idhar hai udhar ho nahīñ saktā

    kyā baiThe haiñ bekār ab uThiye bhī yahāñ se

    aġhyār ghar aap ghar ho nahīñ saktā

    ai qalb zarā kashish apnī dikhā de

    nāloñ meñ hamāre to asar ho nahīñ saktā

    vo dekh chuke ḳhuub jab naḳhl-e-mohabbat

    kahne lage is meñ to samar ho nahīñ saktā

    maujūd har ik hai vo ai nāseh-e-nā-fahm

    kā'ba ik allāh ghar ho nahīñ saktā

    duniyā meñ hasīñ laakh hoñ lekin mujhe kyā kaam

    ye dil ab idhar se to udhar ho nahīñ saktā

    duniyā meñ hasīñ laakh hoñ lekin mujhe kyā kaam

    ye dil ab idhar se to udhar ho nahīñ saktā

    aañsū jhaḌī lagā de vo na jāneñ

    kuchh tujh se to ai dīda-e-tar ho nahīñ saktā

    jo chāho kaho ġhair tā'rīf meñ lekin

    ye siina ye dil aur ye jigar ho nahīñ saktā

    haq ye hai ki us āriz-e-pur-nūr ke aage

    sarsabz kabhī bhī gul-e-tar ho nahīñ saktā

    ai bād-e-sahar hukm jo us na ho tujh se

    tinkā bhī idhar se to udhar ho nahīñ saktā

    allāh musībat se shab-e-ġham bachā.e

    insān patthar jigar ho nahīñ saktā

    be-fā.eda ġhairoñ se ulajhte haiñ 'fahīm' aap

    is se to koī un zarar ho nahīñ saktā

    duniya mein koi tujh sa bashar ho nahin sakta

    yun koi kahe lakh magar ho nahin sakta

    jo kaam hai dil ka wo jigar kar nahin sakta

    ye dard idhar ka hai udhar ho nahin sakta

    kya baiThe hain bekar ab uThiye bhi yahan se

    aghyar ka ghar aap ka ghar ho nahin sakta

    ai qalb zara tu hi kashish apni dikha de

    nalon mein hamare to asar ho nahin sakta

    wo dekh chuke KHub sa jab naKHl-e-mohabbat

    kahne lage is mein to samar ho nahin sakta

    maujud har ek ja hai wo ai naseh-e-na-fahm

    ka'ba hi ek allah ka ghar ho nahin sakta

    duniya mein hasin lakh hon lekin mujhe kya kaam

    ye dil ab idhar se to udhar ho nahin sakta

    duniya mein hasin lakh hon lekin mujhe kya kaam

    ye dil ab idhar se to udhar ho nahin sakta

    aansu ki jhaDi tu hi laga de wo na jaanen

    kuchh tujh se to ai dida-e-tar ho nahin sakta

    jo chaho kaho ghair ki ta'rif mein lekin

    ye sina ye dil aur ye jigar ho nahin sakta

    haq ye hai ki us aariz-e-pur-nur ke aage

    sarsabz kabhi bhi gul-e-tar ho nahin sakta

    ai baad-e-sahar hukm jo us ka na ho tujh se

    tinka bhi idhar se to udhar ho nahin sakta

    allah musibat se shab-e-gham ki bachae

    insan ka patthar ka jigar ho nahin sakta

    be-faeda ghairon se ulajhte hain 'fahim' aap

    is se to koi un ka zarar ho nahin sakta

    Source:

    Walwale (Pg. 7)

    • Author: Faheemuddin Ahmad Faheem
      • Publisher: Unknown Organization
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now