duniya mere daman ki hawa mang rahi hai
duniyā mire dāman kī havā maañg rahī hai
din raat sañvarne kī du'ā maañg rahī hai
ḳhud zindagī jiine kī du'ā maañg rahī hai
gesū se tirī kaalī du'ā maañg rahī hai
gulshan kī kalī mauj-e-sabā maañg rahī hai
har shāḳh ke hoñToñ pe sadā maañg rahī hai
ḳhvāboñ se ḳhayāloñ se ḳhatā maañg rahī hai
ye raat bilā jurm sazā maañg rahī hai
ne'mat thī mirī jaan magar maañg rahī hai
jiine ke liye rab se du'ā maañg rahī hai
ḳhushbū se mohabbat se 'ināyat se karam se
phir vādī-e-dil ThanDī havā maañg rahī hai
har saañs ġhanīmat hai yahāñ aaj bhī 'sajjād'
har saañs mirī rab kī razā maañg rahī hai
duniya mere daman ki hawa mang rahi hai
din raat sanwarne ki du'a mang rahi hai
KHud zindagi jine ki du'a mang rahi hai
gesu se teri kali du'a mang rahi hai
gulshan ki kali mauj-e-saba mang rahi hai
har shaKH ke honTon pe sada mang rahi hai
KHwabon se KHayalon se KHata mang rahi hai
ye raat bila jurm saza mang rahi hai
ne'mat thi meri jaan magar mang rahi hai
jine ke liye rab se du'a mang rahi hai
KHushbu se mohabbat se 'inayat se karam se
phir wadi-e-dil ThanDi hawa mang rahi hai
har sans ghanimat hai yahan aaj bhi 'sajjad'
har sans meri rab ki raza mang rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.