Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya se sadgi ka chalan kaun le gaya

Anwar panipati

duniya se sadgi ka chalan kaun le gaya

Anwar panipati

MORE BYAnwar panipati

    duniyā se sādgī chalan kaun le gayā

    hairat to hai ḳhulūs-e-suḳhan kaun le gayā

    yārān-e-ḳhush-adā se zarā pūchhte chaleñ

    mausam rang husn-e-chaman kaun le gayā

    vo jis raushnī meñ thā maazī nuur bhī

    ai dost vo charāġh-e-kuhan kaun le gayā

    ādāb-o-guftugū meñ matānat vahī rahī

    sher-o-adab se nudrat-e-fan kaun le gayā

    shabnam ḳhatā na havāoñ hai qusūr

    phūloñ ke pairahan se shikan kaun le gayā

    halkā thā na abr saaya koī vahāñ

    sūraj ke bhī nagar se kiran kaun le gayā

    kahiye to mujh ko tez-ravī kis ne baḳhsh

    'anvar' mire safar thakan kaun le gayā

    duniya se sadgi ka chalan kaun le gaya

    hairat to hai KHulus-e-suKHan kaun le gaya

    yaran-e-KHush-ada se zara puchhte chalen

    mausam ka rang husn-e-chaman kaun le gaya

    wo jis ki raushni mein tha mazi ka nur bhi

    ai dost wo charagh-e-kuhan kaun le gaya

    aadab-o-guftugu mein matanat wahi rahi

    sher-o-adab se nudrat-e-fan kaun le gaya

    shabnam ki hi KHata na hawaon ka hai qusur

    phulon ke pairahan se shikan kaun le gaya

    halka sa tha na abr ka saya koi wahan

    suraj ke bhi nagar se kiran kaun le gaya

    kahiye to mujh ko tez-rawi kis ne baKHsh di

    'anwar' mere safar ki thakan kaun le gaya

    Source:

    Sang-e-Ehsas (Pg. 43)

    • Author: Anwar panipati
      • Publisher: Anwar panipati
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now