Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya tujhse chand bundon ki sawali kyon

Fay Seen Ejaz

duniya tujhse chand bundon ki sawali kyon

Fay Seen Ejaz

MORE BYFay Seen Ejaz

    duniyā tujh se chañd būñdoñ savālī kyoñ

    bādal terī jholī itnī ḳhālī kyoñ

    itnī phīkī itnī hai be-rang bahār

    har Tahnī har Daalī ḳhālī ḳhālī kyoñ

    ik din us chhātī par chaḌh baiThā maiñ

    pūchhā kyoñ detā hai maañ gaalī kyoñ

    jin lakīroñ par bhī haq nahīñ bantā kuchh

    niiñd uḌā.eñ vo āñkheñ matvālī kyoñ

    ishq meñ ik minnat dhāga bāñdhā thā

    yādeñ chhoḌ ga.ī marqad jaalī kyoñ

    apne chehre bhī haiñ ġhair nigāhoñ meñ

    duniyā ne itnī dekhī-bhālī kyoñ

    ek khanak sunñī thī chaa.e pyālī

    ne ye nāzuk farmā.ish Taalī kyoñ

    barf ke jaise saare sutūn the shīshe ke

    ham ne un par apnī imārat Dhālī kyoñ

    ik gūñgā rishta qaa.em kar baiThīñ

    khiḌkī se do āñkheñ bholī-bhālī kyoñ

    duniya tujh se chand bundon ki sawali kyon

    baadal teri jholi itni KHali kyon

    itni phiki itni hai be-rang bahaar

    har Tahni har Dali KHali KHali kyon

    ek din us ki chhati par chaDh baiTha main

    puchha kyon deta hai man ki gali kyon

    jin ki lakiron par bhi haq nahin banta kuchh

    nind uDaen wo aankhen matwali kyon

    ishq mein ek minnat ka dhaga bandha tha

    yaaden chhoD gai marqad ki jali kyon

    apne chehre bhi hain ghair nigahon mein

    duniya tu ne itni dekhi-bhaali kyon

    ek khanak sunni thi chae ki pyali ki

    tu ne ye nazuk farmaish Tali kyon

    barf ke jaise sare sutun the shishe ke

    hum ne un par apni imarat Dhaali kyon

    ek gunga sa rishta qaem kar baiThin

    khiDki se do aankhen bholi-bhaali kyon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now