Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai

Mohammad Amir

durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai

Mohammad Amir

MORE BYMohammad Amir

    durūn-e-chashm na.ī chashm-e-tar banānā hai

    ki aañkh ko mohabbat ghar banānā hai

    hamāre ġham mudāvā na kar sake ye din

    sukūt-e-shab ko ab chārāgar banānā hai

    ai 'ishq aur guzār apne imtihāñ se hameñ

    ye ziist aur abhī kārgar banānā hai

    ayaañ ho hijr ġham aisā ek naqshe meñ

    banā na paayā abhī tak magar banānā hai

    vo jis naqsh-e-kaf-e-pā hai rahguzar 'āmir'

    usī ke 'ishq ko zād-e-safar banānā hai

    durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai

    ki aankh ko hi mohabbat ka ghar banana hai

    hamare gham ka mudawa na kar sake ye din

    sukut-e-shab ko hi ab chaaragar banana hai

    ai 'ishq aur guzar apne imtihan se hamein

    ye zist aur abhi kargar banana hai

    ayan ho hijr ka gham aisa ek naqshe mein

    bana na paya abhi tak magar banana hai

    wo jis ka naqsh-e-kaf-e-pa hai rahguzar 'amir'

    usi ke 'ishq ko zad-e-safar banana hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now