dushmani kijiye dosti ki tarah
dushmanī kījiye dostī kī tarah
dostī kījiye bandagī kī tarah
kitnī pur-kaif sarmast yādoñ kā rang
ghul gayā raat meñ chāñdnī kī tarah
ḳhud hī yazdāñ-sifat ḳhud hī shaitāñ-nafas
hai 'ajūba koī aadmī kī tarah
kyā ḳhabar thī ki aise bichhaḌ jā.eñge
ham mileñge kabhī ajnabī kī tarah
ai 'shabānā' kahāñ le chalī hai ḳhirad
āgahī aa.ī hai gumrahī kī tarah
dushmani kijiye dosti ki tarah
dosti kijiye bandagi ki tarah
kitni pur-kaif sarmast yaadon ka rang
ghul gaya raat mein chandni ki tarah
KHud hi yazdan-sifat KHud hi shaitan-nafas
hai 'ajuba koi aadmi ki tarah
kya KHabar thi ki aise bichhaD jaenge
hum milenge kabhi ajnabi ki tarah
ai 'shabana' kahan le chali hai KHirad
aagahi aai hai gumrahi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.