Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dushmanon se rah KHafa ek had talak

Ram Chandr Varma Sahil

dushmanon se rah KHafa ek had talak

Ram Chandr Varma Sahil

MORE BYRam Chandr Varma Sahil

    dushmanoñ se rah ḳhafā ik had talak

    dostoñ se bhī nibhā ik had talak

    ham-nivāla ham-piyāla koī ho

    raaz us ko bhī batā ik had talak

    jaan de kar vāste māñ-bāp ke

    qarz hotā hai adā ik had talak

    dūriyāñ maanā bahut achchhī nahīñ

    qurbateñ phir bhī baḌhā ik had talak

    haq meñ hai bīmār ke lāzim duā

    kaam aatī hai davā ik had talak

    jis ko samjhe huā hai rāz-dār

    raaz us ko bhī batā ik had talak

    ham vafādāroñ ḳhātir ai sanam

    chāhiye tum ko jafā ik had talak

    kaun 'sāhil' jaan paayā us raaz

    tum ko bhī bas hai patā ik had talak

    dushmanon se rah KHafa ek had talak

    doston se bhi nibha ek had talak

    ham-niwala ham-piyala koi ho

    raaz us ko bhi bata ek had talak

    jaan de kar waste man-bap ke

    qarz hota hai ada ek had talak

    duriyan mana bahut achchhi nahin

    qurbaten phir bhi baDha ek had talak

    haq mein hai bimar ke lazim dua

    kaam aati hai dawa ek had talak

    jis ko tu samjhe hua hai raaz-dar

    raaz us ko bhi bata ek had talak

    hum wafadaron ki KHatir ai sanam

    chahiye tum ko jafa ek had talak

    kaun 'sahil' jaan paya us ka raaz

    tum ko bhi bas hai pata ek had talak

    Source:

    Intekhab (Pg. 83)

    • Author: Ram Chandr Varma Sahil
      • Publisher: New Print Center, Delhi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now