dudhiya aanchal hawaon mein zara lahraiye

dudhiya aanchal hawaon mein zara lahraiye
Mazhar Qureshi Mazhar
MORE BYMazhar Qureshi Mazhar
dūdhiyā āñchal havāoñ meñ zarā lahrā.iye
aa.iye bād-e-sabā ban kar mujhe mahkā.iye
hazrat-e-dil phir usī kūche meñ kyūñkar jā.iye
mashġhala ye ḳhuub hai ab roz dhokā khā.iye
ghūmte phirte haiñ āñkhoñ meñ mirī shām-o-sahar
chhoḌiye āvārgī dil ke makīñ ho jā.iye
Daal kar bāhoñ meñ bāheñ us ne itrā kar kahā
ab zarā is qaid se ho kar rihā dikhlā.iye
ye taġhāful aur bahāne ye kahānī 'uzr kī
sun chuke haiñ bārhā lillāh mat dohrā.iye
hai to ye 'maz.har' kā lekin mo'tarif hai aap kā
is dil-e-betāb ko ab aap hī samjhā.iye
dudhiya aanchal hawaon mein zara lahraiye
aaiye baad-e-saba ban kar mujhe mahkaiye
hazrat-e-dil phir usi kuche mein kyunkar jaiye
mashghala ye KHub hai ab roz dhoka khaiye
ghumte phirte hain aankhon mein meri sham-o-sahar
chhoDiye aawargi dil ke makin ho jaiye
Dal kar bahon mein bahen us ne itra kar kaha
ab zara is qaid se ho kar riha dikhlaiye
ye taghaful aur bahane ye kahani 'uzr ki
sun chuke hain barha lillah mat dohraiye
hai to ye 'mazhar' ka lekin mo'tarif hai aap ka
is dil-e-betab ko ab aap hi samjhaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.