dur-andesh kam-andesh hun jaisa bhi hun
dūr-andesh kam-andesh huuñ jaisā bhī huuñ
maiñ akelā bachā darvesh huuñ jaisā bhī huuñ
log is haal meñ hote haiñ to hote hī nahīñ
maiñ bahar-hāl kam-o-besh huuñ jaisā bhī huuñ
kitnā maġhrūr huuñ qissoñ pe na jā tū pyāre
terī ḳhidmat meñ agar pesh huuñ jaisā bhī huuñ
merā jauhar hai ye duniyā tirī duniyā 'tarkash'
maiñ isī dukh ke pas-o-pesh huuñ jaisā bhī huuñ
dur-andesh kam-andesh hun jaisa bhi hun
main akela bacha darwesh hun jaisa bhi hun
log is haal mein hote hain to hote hi nahin
main bahar-haal kam-o-besh hun jaisa bhi hun
kitna maghrur hun qisson pe na ja tu pyare
teri KHidmat mein agar pesh hun jaisa bhi hun
mera jauhar hai ye duniya teri duniya 'tarkash'
main isi dukh ke pas-o-pesh hun jaisa bhi hun
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 88)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.