Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur aur pas ke satae hain

Aashiq Jafri

dur aur pas ke satae hain

Aashiq Jafri

MORE BYAashiq Jafri

    duur aur paas ke satā.e haiñ

    ham ne hijrat ke dukh uThā.e haiñ

    jaane kis paar ke utreñge

    ḳhvāb ke jo bhī dar banā.e haiñ

    apnī miTTī se duur ho kar

    hijr ke dukh samajh meñ aa.e haiñ

    un ke aane se gulsitānoñ ne

    ḳhushbūoñ ke kañval khilā.e haiñ

    manziloñ ko pata nahīñ ham ne

    rāstoñ ke fareb khaa.e haiñ

    kisī pahlū qarār aayā nahīñ

    dil ne qisse bahut sunā.e haiñ

    ham ko 'āshiq' ḳhabar nahīñ us

    tiir apnoñ ne kab chalā.e haiñ

    dur aur pas ke satae hain

    hum ne hijrat ke dukh uThae hain

    jaane kis par ja ke utrenge

    KHwab ke jo bhi dar banae hain

    apni miTTi se dur ho kar hi

    hijr ke dukh samajh mein aae hain

    un ke aane se gulsitanon ne

    KHushbuon ke kanwal khilae hain

    manzilon ko pata nahin hum ne

    raston ke fareb khae hain

    kisi pahlu qarar aaya nahin

    dil ne qisse bahut sunae hain

    hum ko 'ashiq' KHabar nahin us ki

    tir apnon ne kab chalae hain

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 402)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now