Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur bhi jate hue pas bhi aate hue hum

Zia Zameer

dur bhi jate hue pas bhi aate hue hum

Zia Zameer

MORE BYZia Zameer

    duur bhī jaate hue paas bhī aate hue ham

    bhūlte bhūlte kuchh yaad dilāte hue ham

    niiñd is ko nasha ham ko jagāne havas

    ḳhvāb meñ aate hue niiñd churāte hue ham

    pahle rote hue apnī nigahbānī meñ

    aur be-sāḳhta phir ḳhud ko hañsāte hue ham

    pichhlī shab poñchhte āñkhoñ se purāne sabhī ḳhvāb

    aglī shab ḳhvāboñ ambār lagāte hue ham

    chāragar bante hue apnī vīrānī meñ

    pahlī bārish meñ akele nahāte hue ham

    ḳhuun armānoñ karte hue ḳhāmoshī se

    aur phir ḳhuun ko āñkhoñ meñ chhupāte hue ham

    apnī jholī meñ kisī jiit nashsha liye

    us ke kūche se 'ziyā' haar ke jaate hue haiñ ham

    dur bhi jate hue pas bhi aate hue hum

    bhulte bhulte kuchh yaad dilate hue hum

    nind ka is ko nasha hum ko jagane ki hawas

    KHwab mein aate hue nind churaate hue hum

    pahle rote hue apni hi nigahbani mein

    aur be-saKHta phir KHud ko hansate hue hum

    pichhli shab ponchhte aankhon se purane sabhi KHwab

    agli shab KHwabon ka ambar lagate hue hum

    chaaragar bante hue apni hi virani mein

    pahli barish mein akele hi nahate hue hum

    KHun armanon ka karte hue KHamoshi se

    aur phir KHun ko aankhon mein chhupate hue hum

    apni jholi mein kisi jit ka nashsha sa liye

    us ke kuche se 'ziya' haar ke jate hue hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now