dur jakar bhi ghar nahin chhoDa
duur jākar bhī ghar nahīñ chhoḌā
chhoḌ sakte the par nahīñ chhoḌā
ham-safar rāste se lauT ga.e
ham ne Dar kar safar nahīñ chhoḌā
ek din hogā beḌā paar apnā
is liye bhī bhañvar nahīñ chhoḌā
koī ik baar jo hamārā huā
phir use 'umr bhar nahīñ chhoḌā
apnī zid par aḌā rahā vo bhī
ham ne bhī us kā dar nahīñ chhoḌā
dur jakar bhi ghar nahin chhoDa
chhoD sakte the par nahin chhoDa
ham-safar raste se lauT gae
hum ne Dar kar safar nahin chhoDa
ek din hoga beDa par apna
is liye bhi bhanwar nahin chhoDa
koi ek bar jo hamara hua
phir use 'umr bhar nahin chhoDa
apni zid par aDa raha wo bhi
hum ne bhi us ka dar nahin chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.