Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

Akbar Hyderabadi

dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    duur tak bas ik dhundalkā gard-e-tanhā.ī thā

    rāstoñ ko ranj merī ābla-pā.ī thā

    fasl-e-gul ruḳhsat huī to vahshateñ bhī miT ga.iiñ

    haT gayā saaya jo ik āseb-e-sahrā.ī thā

    toḌ Daalā samundar ne tilism-e-ḳhud-sarī

    zom kyā kyā sāhiloñ ko apnī pahnā.ī thā

    aur mub.ham ho gayā paiham mulāqātoñ ke saath

    vo jo ik mauhūm rishta shanāsā.ī thā

    ḳhaak ban kar pattiyāñ mauj-e-havā se milīñ

    der se 'akbar' guloñ par qarz purvā.ī thā

    dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

    raston ko ranj meri aabla-pai ka tha

    fasl-e-gul ruKHsat hui to wahshaten bhi miT gain

    haT gaya saya jo ek aaseb-e-sahrai ka tha

    toD hi Dala samundar ne tilism-e-KHud-sari

    zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha

    aur mubham ho gaya paiham mulaqaton ke sath

    wo jo ek mauhum sa rishta shanasai ka tha

    KHak ban kar pattiyan mauj-e-hawa se ja milin

    der se 'akbar' gulon par qarz purwai ka tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now