Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dur tak parchhaiyan si hain rah-e-afkar par

Takht Singh

dur tak parchhaiyan si hain rah-e-afkar par

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    duur tak parchhā.iyāñ haiñ rah-e-afkār par

    reñgtī phirtī hai chup dil ke dar-o-dīvār par

    ki hai baiThā ḳhas-e-auhām ke ambār par

    is tarah mat hañs mire sho.ala-ba-kaf ash.ār par

    ai nizām-e-vahshat-afzā tere sannāToñ ḳhair

    ik kiran hañsne lagī hai raat talvār par

    kirchaneñ dil ghanī palkoñ pe haiñ bikhrī huī

    aa.ina TuuTā paḌā hai sāya-e-asrār par

    sher kahne ġharaz se maiñ ne aksar rāt-bhar

    phuul se ehsās ko rakkhā hai nok-e-ḳhār par

    kyā yahī manzil thī dil kyā usī ke vāste

    gāmzan barsoñ rahā ġham rah-e-dushvār par

    ḳhuuñ aatī hai paiham sūrat-e-hālāt se

    aañkh rotī hai lahū har surḳhi-e-aḳhbār par

    kis himāqat ke evaz kis jurm pādāsh meñ

    vaqt ne khīñchā hai mujh ko zindagī daar par

    ek muddat se dil-o-jāñ ne lagā rakkhe haiñ kaan

    an-sunī sargoshiyoñ ras-bharī jhankār par

    dur tak parchhaiyan si hain rah-e-afkar par

    rengti phirti hai chup dil ke dar-o-diwar par

    tu ki hai baiTha KHas-e-auham ke ambar par

    is tarah mat hans mere shoala-ba-kaf ashaar par

    ai nizam-e-wahshat-afza tere sannaTon ki KHair

    ek kiran hansne lagi hai raat ki talwar par

    kirchanen dil ki ghani palkon pe hain bikhri hui

    aaina TuTa paDa hai saya-e-asrar par

    sher kahne ki gharaz se main ne aksar raat-bhar

    phul se ehsas ko rakkha hai nok-e-KHar par

    kya yahi manzil thi dil ki kya usi ke waste

    gamzan barson raha gham ki rah-e-dushwar par

    KHun ki bu aati hai paiham surat-e-haalat se

    aankh roti hai lahu har surKHi-e-aKHbar par

    kis himaqat ke ewaz kis jurm ki padash mein

    waqt ne khincha hai mujh ko zindagi ki dar par

    ek muddat se dil-o-jaan ne laga rakkhe hain kan

    an-suni sargoshiyon ki ras-bhari jhankar par

    Source:

    Shab-e-Uriyan (Pg. 64)

    • Author: Takht Singh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Charanjeet Laal
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now